Naina ne mere liye ek nazm likhi thi. Mere liye ye sab bahot naya hai. Bas iski aadat nahi banani hai. Main nahi chahta ki ye ehsaas kabhi kum ho. Kyunki jab mujhe woh apni nazm suna rahi thi, us pal mein mujhe aisa lag raha tha ki is poore jahaan mein sirf hum dono hain. Ki uski aankhen sirf mujhe dekh rahi hai. Ki uske hothon se nikla har lafz mere liye bana hai. Ki uske har pal par mera naam hai.