Aaj Tum Itna Wada Karte Jaana
Hum logon se waade kyun maangte hain? Kyun baaton ko, haalaton ko, aisi gajah le jaate hain jahan se aage ka raasta hum akele chalne se darr te hain? Ye do lafz - wada karo… kya ye ek zarurat hai, ek kami hai? Kaisa darr hai ye, jo ek connection ke honhe ke baad bhi ek insurance policy maangta hai?…
Chura Liya Hai Tumne Jo Dil Ko
Humare gaano mein ye dil lene, dene, khone, churane... ki baatein kyun hoti hain? Ye Dil itna aasaani se kyun behak jaata hai? Baaton mein aa jaata hai? Kya sab dil aise hote hain? Hum sab ne kab faisla kiya is dil ko aisa banane ka? Ye dil kamzor bhi hai, bechara bhi hai, baccha bhi hai… lekin hum…
Maanga Hai Tumhe Duniya Ke Liye
Kitna farak hai humari soch mein? Kinta farak hai humare zazbaaton mein? Tum ek ladki ho aur main ek ladka hoon… is farak se kitne farak paida hote hain? Shayad sirf ye pyaar aur poetry hain, jin dono mein gender ka koi lena dena nahi hai. Dono ehsaas se bante hain. Aur ehsaas ko sab ehsaas hi bula…
Tum Agar Saath Dene Ka Vada Karo
Kya har pyaar ko poora hona hota hai? Kya har pyaar ko ‘hamesha’ vaala hona hota hai? Kya har pyaar ka moolya, uska wajood… uske anjam se tay hota hai? Agar ek love story khatam ho jaati hai, toh kya woh sachha pyaar tha? Kya woh kisi bhi tarah ka pyaar tha? Kya lagta hai tumhe?
Na Tum Humein Jaano
"Kisi se pehli mulakaat mein pyaar agar ho jaye… toh pehle kya karna chahiye? Mere hisaab se ye teen step ka process hai. Pehle toh pata karna chahiye ki woh kaisa mehsoos karti hai. Kyunki agar woh aisa nahi soch rahi toh aage ke do step kisi kaam ke nahi hai. Phir unse dobara milna chahiye, unhe …
Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
Kya khushi aur darr ko ek saath mehsoos karna mumkin hai? Hasta hua insaan kayin gham chupa sakta hai apni hassi ke peeche. Aur ek insaan ek pal mein muskurate huye jitni bhi khushi mehsoos karle... kya woh khushi uske darr ko mita sakti hai? Kyunki kuch darr alag hotey hain. Kuch darr aane vaale k…
Tumne Mujhe Dekha Hokar Meherbaan
“Kisi ko pehli mulakaat, pehli baat mein pasand karna aasan hai. Aur woh pyaar jo sirf kuch ki palon ke liye paida hota hai, woh bhi karna bahot aasan hai. Pyaar toh kayin kisam ke hote hain na? Har koi apni zindagi mein pyaar dhoondhta hai. Aur har kisi ko lagta hai ki unka pyaar anokha hai. Toh y…
Yunhi Tum Mujhse Baat Karti Ho
Naina ne mere liye ek nazm likhi thi. Mere liye ye sab bahot naya hai. Bas iski aadat nahi banani hai. Main nahi chahta ki ye ehsaas kabhi kum ho. Kyunki jab mujhe woh apni nazm suna rahi thi, us pal mein mujhe aisa lag raha tha ki is poore jahaan mein sirf hum dono hain. Ki uski aankhen sirf mujhe…
Ek Ho Gaye Hum Aur Tum
Humari relationship ki problems nayi nahi thi. Jo baat pehle din thik nahi thi, woh aakhri din tak thik nahi thi. Aur woh problem thi humare alag nazariye. Hum dono itne saal ek doosre ko ek doosre ka nazariya samjhatey reh gaye. Is umeed mein ke shayad woh mera samajh kar apna nazariya badal le, a…
Aisa Laga Tumse Mil Ke
Aam taur par, mere liye lafz dhoondna zyada mushkil kaam nahi hota. Lekin kuch bhi shuru karna hamesha mushkil hota tha. Ek kahani ki pehli line kabhi kabar dino, hafton, mahino tak nahi milti thi. Aur jab tak pehli line nahi, koi raasta nahi, koi maksad nahi, koi manzil nahi. Banjaara bana ghoom r…